Friday, October 12, 2012

Yeh Jo Halki Halki Khumariya Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan | SON of SARDAR

Yeh jo halki.. halki.. khumariya..
Hai mohabbaton ki thayyariyan..

Aa..aa..
Kaise kahoon kaise bala roke tu mujhko gunahon se haye
Roke tu mujh ko gunahon se
Peeta jao main toh yaara teri inn mehki nigahon se haye
Teri inn mehki nigahon se

Ab jo galat tha wo bhi sahi hai
Behosh bhi hoon
Pee bhi nahin hai haye

Yeh jo halki halki khumariya
Hai mohabbaton ki thayyariyan

Hai mohabbaton ki thayyariyan
Yeh jo halki halki khumariya
Kaise kahoon kaise bala roke tu mujhko gunahon se haye
Roke tu mujhko gunahon se

Chupte chupate jhoome
Zul pe labon ko chume
Chupte chupate jhoome
Zul pe labon ko chume
Uss tere shaitaniyan
Sar pe chadara inhe
Itna banaya inhe
Uff hui deewaniyan
Mujhpe yun hasti hai
Yeh zulfen kyun meri tarah mazti hai

Ab jo galat tha wo bhi sahi hai
Behosh bhi hoon
Pee bhi nahin hai haye

Yeh jo halki halki khumariya
Yeh jo halki halki khumariya
Hai mohabbaton ki thayyariyan
Hai mohabbaton ki thayyariyan
Yeh jo halki halki khumariya

Meri zindagi ke badle
Mujhe ek sham de de

Aa..aa..
Meri zindagi ke badle
Mujhe ek sham de de
Jo kisi ko na diya ho
Mujhe wo inaam de de
Teri aarzoo karoon main
Tere khwab mein sajaao
Hote jo bhi aashiqui ke
Mujhe saare kaam de de

Monday, July 23, 2012

Let it be, Let it be,,, Ab jaane de

Let it be, let it be
Ab jaane de
Ro liya hai
Zara muskuraane de
Itna toh hak banta hai
Mujhe ek chance
Toh dede zindagi

Galtiyon wali list
Mitaane de
Story mein ik
Twist toh aane de
Itna toh hak banta hai
Mujhe ek chance
Toh dede zindagi

Meri majbooriyon
Ki hai tujhko kasam
[Tujhko kasam]
Chod bhi de
Ab teh naraazgi
Apno se kab tak
Yahan koi rootha hai

Kya sahi kya nahi
Yeh sikhaa dena
Bhule ko raste pe
Toh aane de
Itna toh hak banta hai
Mujhe ek chance
Toh dede zindagi

Let it be, let it be
Ab jaane de
Ro liya hai
Zara muskuraane de
Itna toh hak banta hai
Mujhe ek chance
Toh dede zindagi

Fursat ki eeton se
Khushiyon ke cheeton se
Duniyaa hamari banaoonga
Sajaoonga hai yeh waada mera

Sapnon se sach ki
Jo doori hai
Woh taih karoonga main
Magar kaise hai yeh safar
Aadha mera aadha tera

Tu joh meri ore
Aadha kadam bhi chale
[Kadam bhi chale]
Main toh uunchi neechi
Sadko pe chalke
Saaton samunder ki
Doori mitaoonga

Roothi hai jab tak
Main nachaoonga
Tere dar pe hi
Raat bitaoonga
Itna toh hak banta hai
Mujhe ek chance
Toh dede zindagi

Teri rahon mein hoon khada
Toota haara tanha padha
Maana maine ki bhool hai
Lekin tera dil hai badha

Tere dil ke kisi
Kone mein hi sahi
[Mein hi sahi]
Mujhe zara si jagah
Bhi mil jaaye toh
main us mein hi
Apni jannat sajaa lunga

Kaanon ko kheech ke
Do laga dena
Na samajh ko zara
Samjha dena
Itna toh hak banta hai
Mujhe ek chance
Toh dede zindagi

Let it be, let it be
Ab jaane de
Ro liya hai
Zara muskuraane de
Itna toh hak banta hai
Mujhe ek chance
Toh dede zindagi

Itna toh hak banta hai
Mujhe ek chance
Toh dede zindagi

Itna toh hak banta hai
Mujhe ek chance
Toh dede zindagi

Tuesday, June 26, 2012

Tumse Milke Aisa Laga Tumse Milke

Tumse milke aisa laga tumse milke
armaan huey purhey dil ke
aye meri jaan e wafa
teri meri mere teri ik jaan hai
saath tere rahenge sadha
tumse na honge juda
tumse milke aisa laga tumse milke

Mere sanam teri kasam
chodenge ab na yeh haath
yeh zindagi guzregi ab
hamdam tumhare hi saath
apna yeh vaada raha
tumse na honge juda
tumse milke aisa laga tumse milke

Maine kiya hai raat din
bas tera hi intezar
tere bina aata nahin
ik pal mujhey ab karaar
humdum mera mil gaya
ab hum na honge juda
tumse milke tumse milke
aisa laga tumse milke
armaan huey purhey dil ke
eh meri jaan e wafa
teri meri meri teri ik jaan hai ......

Tuesday, April 17, 2012

Mohit Chauhan's Boondein (Boondein-Silk Route 1998)

Koi ho
Yaadon mein
Palkon pe boondein liye
Aaina bani
Yeh aankhen teri

Dheemi se
Khushboo hai
Haawaon ke jhokon ne jo
Chuke tujhe
Churayi


Saanson ki
Raahon mein
Kya mile sakenge kabhi
Dhoonde tujhe
Nigahein meri
LyricsMAsti.com
Saathi the
Janmon se
Rahon mein kyu kho gaye
Manzil humein
Bulane lagi

Yehhhhhh
Yeh yeh yeh yeh yeehhh
Yehhhhhhhhhh
Yeh ye aaa ha Aahhhh!

Nagma ho
Bhiga sa
Ya tum ho koi gazal
Har pal jise
Gungunata rahu

Hoton se
Haule se
Sargam jo bahne lagi
Aane lagi
Chahe meri


Heyhhhhhh
Hey aaa ha Aahhhh!
Heyhhhhhh
Hey aaa ha Aahhhh!

Heyhhhhhh
Hey aaa ha Aahhhh!
HEYYYYYYY

Lala lala lalaaaaaa

Tuesday, March 27, 2012

Raabta (Kehte Hain Khuda Ne)

Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai, phir kya fikar hai
Jeene ki wajah hi yahi marna issi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye

Sa ni pa di na sa...

Meharbaani jaate jaate mujh pe kar gaya
Guzarta sa lamha ek daaman bhar gaya
Tere nazara mila, roshan sitaara mila
Takdeer ki kashtiyon ko, kinara mila

Sadiyon se tarse hai jaisi zindagi ke liye
Teri sauhbat mein duaayein hain ussi ke liye
Tere milna hai uss rab ka ishaara
Maanu mujhko banaya tere hi jaise kisi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye
Tere milna hai uss rab ka ishaara
Maanu mujhko banaya tere hi jaise kisi ke liye
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai, phir kya fikar hai
Jeene ki wajah hi yahi hai marna issi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye

Wednesday, February 1, 2012

Koi Ye Bata De Ki Kya Hai Mohabbat

Mohabbat hai ek khwab ya
ek junoon hai
Kisi ko mohabbat agar hai
toh kyun hai
Mohabbat mein to sirf betabiyaan hain
Toh phir kyun mohabbat mein
dil ko sukoon hai, sukoon hai
Koi ye bata de ki kya hai mohabbat
Mohabbat


Mohabbat hai dariya mohabbat kinara
Mohabbat sitam hai mohabbat sahara
Mohabbat idhar bhi mohabbat udhar bhi
Mohabbat nazar hai mohabbat nazaara
Koi ye bata de bata de bata de
Mohabbat mein sab kuchh haseen lagta hai kyun
Sitam jo kare dil nasheen lagta hai kyun
Mohabbat hai jis se wo dil tode bhi to
Bura phir bhi dil ko bura lagta hai kyun
Koi ye bata de ki kya hai mohabbat mohobbat


Na samjha koi wo ada hai mohabbat
Ki inaam hai ya saza hai mohabbat
Kisi ne kaha hai to kyun ye kaha hai
Mohabbat khuda hai khuda hai mohabbat
Koi ye bata de ki kya hai mohabbat

Friday, January 13, 2012

Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan- Dr.kumar Vishwas



Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,

man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,

is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,

ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan……..

Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,

bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,

yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,

mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai……..

Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,

jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,

jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,

tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai……..

Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,

hawaon ke isharon par magar main bah nahi paaya,

adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa,

kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya………


Dr.kumar Vishwas

Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hain- Dr. Kumar Vishwas

Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hain
magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hain
Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hain
Yeh tera dil samjhta hain ya mera dil samjhta hain

Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hain
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hain
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain
Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain

Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage
Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage

Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta
Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama
Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka
Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama

Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hai
magar dharti ki bechaini ko bas badal samjhta hai
Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hai
Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai

mohobbat ek ehsason ki paawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aansu hai
Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe to paani hai

Swayam se door ho tum bhi Swayam se door hain hum bhi
bahut ho mashur ho tum bhi bahut mashoor hain humbhi
bade magroor ho tum bhi bade magroor hai hum bhi
Atah mazboor ho tum bhi Atah mazboor hain hum bhi

Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahi paaya
Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya
Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka kissa
Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya

Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama
Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka
Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama

Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai
Bhari mehfil mein bhi ruswaa mujhe har baar karta hai
yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin
Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai

Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain
Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain
Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain

Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta
Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

ye dil barbad karte ek mein kyun abaad rehte ho,
koi kal keh raha tha tum allahbad rehte ho,
ye kaisi shohrate mujko atah kardi mere maula,
main sab kuch bhool jata hu magar tum yaad rehte ho,

panaho mein jo aaya ho to us par waar kya karna
jo dil hara hua ho us pe fir adhikar kya karna
mohabbat ka maza to doobne ki kasmakash mein hain
jo ho malum gehraiyee to dariya paar kya karna

hamre sher sun kar ke bhi jo khamosh itna hai.
khuda jane gurur-e-husn mein madhosh kitna hai
kisi pyale se pooncha hain surahi se sabab maika
jo khud behosh ho wo kya bataye hosh kitna hain

Basti basti ghor udashi, parwat parwat khali pan
man heera ke mol lut gaya ghish ghishri ka tan chandan
is dhatri se us ambar tak do hi cheez gazab ki hain
ek to tera bhola pan, ek mera deewana pan

Jiski dhun par duniya nache, Dil aisa ektara hai
jo humko bhi pyara hain, jo tumko bhi pyara hain
jhoom rahi hain sari duniya jabki hamre geeto par
tab kehti ho pyar hua hai kya ye pyar tumhara hai

mehli mehfil muskana to padta hai
khud hi khud ko samjhana to padta hai
uski ankhon se hokar dil tak jana
raste mein ye maikhana to padta hain
tumko pane ki kshish mein khatam hue
ishq mein itna jurmana to padta hain

sab fasile hote nahi sikke uchal ke
ye dil ke mamle hain zara dekh bal ke
mobileo ke daur ke ahshiq ko kya pata
rakte the khat mein kaleja nikal ke

murda lohe se bhi auzar banae wale,
apne ansoon ko bhi hathiyaar banane wale,
humko bekar samajhte hai siyasadna magar
hum hain is mulq ki sarkar banane wale

jo waqt ki andhi se khabar dar nahi hai,
kuch aur hi hoga wo wo kalankar nahi hai,

sada ye hain neende cheen li dono ki ankhon se,
khata ye thi ki dono ne milkar khwab dekha,

pyar jab jism ki cheekho mein dafan ho jaye
odni is taraf uljhe ki kafan ho jaye
ghar ke aisas jab bazar ki sharto mein dhale
ajnabi log jab hamrah ban ke sath chale
labon se asman tak sabki dua chubh jaye
bheed ka sor jab kano ke pass ruk jaye
sitam ki mari hui waqt ki in ankhin mein
nami ho lakh magar fir bhi muskurayeinge
andhere waqt mein bhi geet gayenge

log kehte rahein is raat ki subah hi nahi
keh de suraj ki rosni ka tajurba hi nahi
wo ladaye ko bhale aar par le jayen
loha le jaye wo lohe ki dhar le jaye
jiski chaukhat se taraju tak ho unpar girwi
us adalt mein hamein bar bar le jaye
hum agar gunguna bhi denge to wo sab ke sab
humko kagaz se hara kar bhi har jayenge
andhere waqt mein bhi geet gayen jayenge

Suno patna ki galiyon se, suno dilli ki galiyon se
ye awazein bhi aati, jinhein bhaise charnai thi wo sarkaar chalati hain

-Dr. Kumar Vishwas